SONG: Purane Chahne Walo Se (Part 2) - पुराने चाहने वालों से, क्यूँ आँखे चुराते हो

Purane Chahne Walo Se (Part 2) - पुराने चाहने वालों से, क्यूँ आँखे चुराते हो

LYRICS:
purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho kiya tha hamse wada, aur unke sath jate ho na tumse jaan na pahchan, na kuch waasta apna gale padne se kya hasil hai, pakdo raasta apna kiraye par liya hai suit, kyu dhokhe me aate ho kiraye par liya hai suit, kyu dhokhe me aate ho wahi ho tum zamane bhar ne, ek din jisko thukraya wahi ho tum zamane bhar ne, ek din jisko thukraya zamane bhar ke thukraye ko, mere dil ne apnaya mere dil ne apnaya ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho mohabbat ka zamana hai, mohabbat ke nazare hai mohabbat ka zamana hai, mohabbat ke nazare hai dilo me hasrate betab, aankho me ishare hai dilo me hasrate betab, aankho me ishare hai isharo hi isharo me, kisi ka dil jalate ho isharo hi isharo me, kisi ka dil jalate ho bhari mahfil me le de ke, hamara dil akela hai bhari mahfil me le de ke, hamara dil akela hai hamari ghar me virani, waha pariyo ka mela hai hamari ghar me virani, waha pariyo ka mela hai tumhare paas hum aate hai, aur tum dur jate ho tumhare paas hum aate hai, aur tum dur jate ho na ro ae rone wale, pyar lekar mai chali aayi na ro ae rone wale, pyar lekar mai chali aayi magar dekho kisi din tum bhi, ban jana na harjaai magar dekho kisi din tum bhi, ban jana na harjaai tumhe meri kasam, ab chup raho kyu dil dukhate ho tumhe meri kasam, ab chup raho kyu dil dukhate ho dekh milate ho usi ko khaak me, jo dil se milta hain meri jan chahne wala, badi mushkil se milta hain purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho ye surat aur hamse dosti, achhi nahi saahab nashe me aapne sandal meri dekhi nahi saahab akeli dekh kar tum raah me aankhe dikhaate ho akeli dekh kar tum raah me aankhe dikhaate ho jalaate ho hame lekin, kabhi tum bhi to jalte the na aate the ager ham raat bhar, pahlu badalte the ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho ye sewa hai tumhara dil, laga kar bhul jate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho december ki ye thandi raat aru uspe ye tanhaai na jaane aaj kis bairan ke, ghar baithe ho harjaai chale bhi aao parvaano, hame na haq dilaate ho chale bhi aao parvaano, hame na haq dilaate ho sambhal ae raat ki raani, ye parvaane chale aaye teri fariyaad me dilbar, ye divaane chale aaye gale se aa milo, kyun dur se ulfat jataate ho gale se aa milo, kyun dur se ulfat jataate ho bujhaai hai agar ye pyas nazro ki, yahi hal hai paraai aag me jalna, magar sikha nahi hamne chalo ae dosto kyun muft me, jaane ganvaate ho chalo ae dosto kyun muft me, jaane ganvaate ho gale tujhko lagayega, ye divaana mohabbat ka kafan baandhe huye aya hain, mastana mohabbat ka ye meri khushnasibi hain, ke tum mujhko jalaate ho tumhe meri kasam, ab chup raho kyu dil dukhate ho bahaar aai, chaman ke patte patte par shabab aaya bahaar aai, chaman ke patte patte par shabab aaya likha tha khat jo bhanwre ko, nahi uska jawab aaya likha tha khat jo bhanwre ko, nahi uska jawab aaya kaho sarkaar, kaho sarkaar kaho, sarkaar kaho sarkaar main haajir hu, kyun mujhko bulate ho kaho sarkaar main haajir hu, kyun mujhko bulate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho main lobhi ras ka hu, duniya mujhe kahti hain harjai milaai aankh jisne mujhse, wo aakhir me pachhtaai mohabbat ke ye din, kyun jhuthi baaton me ganvate ho mohabbat ke ye din, kyun jhuthi baaton me ganvate ho tum harjaai sahi lekin, ghadi bhar ko chale aao tum harjaai sahi lekin, ghadi bhar ko chale aao hamaari dil ki sun jaao, kuch apni dil ki kah jaao hamaari dil ki sun jaao, kuch apni dil ki kah jaao mujhe manjur hain jo apni marji se bulaate ho mujhe manjur hain jo apni marji se bulaate ho hamare haath se tum, aaj bach kar jaa nahi sakte hamare haath se tum, aaj bach kar jaa nahi sakte tumhaare pyar ke dhokhe me, ab ham aa nahi sakte tumhaare pyar ke dhokhe me, ab ham aa nahi sakte idhar bhi dil lagaate ho, udhar bhi dil lagaate ho idhar bhi dil lagaate ho, udhar bhi dil lagaate ho idahr bijli udhar shola, main jaau to kahan jaau idahr bijli udhar shola, main jaau to kahan jaau musibat hi musibat hain, jahan jaau waha jaau musibat hi musibat hain, jahan jaau waha jaau mohabbat ke maze lute hain, ab aansu bahaate ho mohabbat ke maze lute hain, ab aansu bahaate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho purane chahne walo se, kyu aankhe churate ho