SONG: Puchhta Jahan Hai Kaha - पूछता जहान है, कहाँ तेरा भगवान है

Puchhta Jahan Hai Kaha - पूछता जहान है, कहाँ तेरा भगवान है

LYRICS:
puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai meri ye pariksha nahi, teri imtihaan hai teri imtihaan hai puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai jhut aur kapat ka ye bazaar aaj garm hai paakhand me chhupa hua paakhandiyo ka dharm hai aaj ka sansaar apna bhul raha karam hai aankh me insaan ki zara na rahi sharam hai dharti iske ? ki gawaah hai aasmaan hai meri ye pariksha nahi, tera imtihaan hai tera imtihaan hai puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai vishkalank par kabhi kalank jo lag jayega julm ki ghataao me insaaf dub jaayega stay haar jaayega aur jhuth jeet jaayega fir jahan me na koi geet tere gaayega kaanpta imaan hai, insaan pareshaan hai meri ye pariksha nahi, teri imtihaan hai teri imtihaan hai puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai shakti ab dikha teri, nahi to bhakti haarti hai kaha daya teri jo bhakt ko ubharti meera ke nayan me aansuo ki aarti aaj laakh laakh draupdi tujhe pukaarti tujhko nahi dhyaan hai, khamosh tu jawan hai meri ye pariksha nahi, teri imtihaan hai teri imtihaan hai puchhta jahan hai, kaha tera bhagwaan hai