SONG: Prem Pujaran Chali Piya Ke Dwar - प्रेम पुजारन चली पिया के द्वार

Prem Pujaran Chali Piya Ke Dwar - प्रेम पुजारन चली पिया के द्वार

LYRICS:
prem pujaran chali piya ke dwaar daras ki aas liye apne man mandir ke dev pe atal achal vishwaas liye prem pujaran chali piya ke dwaar dhund rahi hai pyaasi ankhiyaa apne man bhavan din ratiyaa bahut dino se chhupe hue prabhu anatr ke abhilashi prem pujaran chali piya ke dwaar preetam ka mukh dekh hirday me chhaya harsh aapaar dekh rahi thi jo sapna vo swapn hua sakaar nain diwaane, rup suhaane man ki anokhi pyaas liye prem pujaran chali piya ke dwaar he shivshankar, he gangadhar yug yug se main tumhari pujaran puja karo swikaar dur na rakhna in charno se yahi mera sansaar