SONG: Preet Nibhani Balma Tum Kya Jano - प्रीत निभानी बालमा तुम क्या जानो

Preet Nibhani Balma Tum Kya Jano - प्रीत निभानी बालमा तुम क्या जानो

LYRICS:
preet nibhani balma tum kya jano sajna tum kya jano preet nibhani balma tum kya jano sajna tum kya jano dali dali koyal kali geet gaye kahe aise me chanchal dil machal jaye rut hai suhani balma balma tum kya jano sajna tum kya jano preet nibhani balma tum kya jano sajna tum kya jano ghire badri rain kajri dara jaye akelapan mujhpe bijli gira jaye dil ki kahani balma balma tum kya jano sajna tum kya jano preet nibhani balma tum kya jano sajna tum kya jano meri aankhe kab se machle jharokho me jiyu kaise tere sapno ke dhokho me ankhiya diwani balma balma tum kya jano sajna tum kya jano