SONG: Payaam E Ishq Muhabbat Hame Pasand Nahi - पयाम-ए-इश्क़ मुहब्बत हमें पसन्द नहीं

Payaam E Ishq Muhabbat Hame Pasand Nahi - पयाम-ए-इश्क़ मुहब्बत हमें पसन्द नहीं

LYRICS:
payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi ye dillagi ye sharaarat hame pasand nahi bajaa nahi thaa izahaar beqaraari ka lihaaz kuchh to kiya hota pardaadaari ka haya se itni bagaavat hame pasand nahi payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi hami ko hans ke sitaaro ne bhi nahi dekha hami ko hans ke sitaaro ne bhi nahi dekha nazar mila ke bahaaro ne bhi nahi dekha kisi nigaah se dilat hame pasand nahi ye dillagi ye sharaarat hame pasand nahi jo takht-o-taaj ke vaaris hai unka pyaar hi kya badalane vaali nigaaho kaa aitabaar hi kya hazur ki ye inaayat hame pasand nahi payaam-e-ishq muhabbat hame pasand nahi