SONG: Paisa Hi Rang Roop Hai Paisa Hi Maal Hai - पैसा ही रंग रूप है पैसा ही माल है

Paisa Hi Rang Roop Hai Paisa Hi Maal Hai - पैसा ही रंग रूप है पैसा ही माल है

LYRICS:
paisa hi rang rup hai paisa hi mal hai paisa na ho to admi charkhe ki mal hai paise hi ka amir ke dil me khyal hai paise hi ka fakir bhi karta sawal hai paisa hi fauj paisa hi jaho jalal hai paise hi ka tamam ye dango dalal hai paisa hi bas batata hai insan ki jat ko bin paise saga bhai bhi puche na bat ko paisa hi jeb deta hai byah or barat ko paisa ho pas dulha bane adhi rat ko dekho kabar uthate hai paise ke waste teero sana lagate hai paise ke waste maidan me jakham khate hai paise ke waste ya takhte sar katte hai paise ke waste paisa hi badi chiz hai ye khub kaha hai bismil magar nazir ne ye bhi to likha hai paise se jo ulfat tujhe ho jayegi baba dukh isme teri ruh bahut payegi baba daulat jo teri yahi na kam aayegi baba fir kya tujhe allah se milwayegi baba bedar khabardar ho is bat se mat bhul ye kabar me to sath nahi jayegi baba bukho ko garibo ko yatimo ko khila ja warna ye tujhe bojh tadpayegi baba paise ke pet me kabhi aana nahi baba insaniyat pe dag lagana nahi baba