SONG: Pahli Na Dusari Tisri Pasand Hai, Shadi Ka Kar Do Intazam - पहली ना दूसरी तीसरी पसंद है, शादी का कर दो इंतज़ाम

Pahli Na Dusari Tisri Pasand Hai, Shadi Ka Kar Do Intazam - पहली ना दूसरी तीसरी पसंद है, शादी का कर दो इंतज़ाम

LYRICS:
pahli na dusri tisri pasand hai shaadi kaa kar do intzaam meri o meri shaadi shaadi kaa kar do intzaam purvi na pashchimi lachhami pasad hai shaadi kaa kar do intzaam meri o meri shaadi shaadi kaa kar do intzaam pahli na dusri tisri pasand hai shaadi kaa kar do intzaam ghar me tum hanso to diye ke binaa ho roshani ghar me tum hanso ghar me tum hanso to diye ke binaa ho roshani chaand ho na ho har ek raat rahe chaandani ab to har ek haal me zindagi pasand hai shaadi kaa kar do intzaam meri meri shaadi kaa kar do intzaam aankho se padh ke dil ki baat jaan logi tum aankho se padh ke aankho se padh ke dil ki baat jaan logi tum jit ho to jit haar ho to maan logi tum kah do dhup chaanv ki ye gali pasand hai shaadi kaa kar lo intzaam meri are meri shaadi kaa kar do intzaam koi jaa kaho ke un ki haan kaa intzaar hai koi jaa kaho koi jaa kaho ke un ki haan kaa intzaar hai doctor bhi lailaaj marz kaa shikaar hai mujhko ye tadap dil ki bekali pasand hai shaadi kaa kar do intzaam meri o meri shaadi kaa kar do intzaam pahli na dusri tisri pasand hai shaadi kaa kar do intzaam meri o meri shaadi shaadi kaa kar do intzaam