Oh Janiya - ओह जानिया
LYRICS:
soch mein hun zara yeh kya ho gaya
lag raha hai mujhe sab naya naya
oh jaaniya haal ye kaisa hai
ishq ke jaisa hai tune mujhe kya kar diya
chid gaya aap hi tu woh saaz hai
khul gaya aap hi tu woh raaz hai
oh jaaniya haal ye kaisa hai
ishq ke jaisa hai tune mujhe kya kar diya
khwabon ne guzaarishen ki
aankhon ne shikayatein ki neend aayi na haaye
saanson ne sifarishein ki
dillon ne himakatein ki hui inteha haaye
dil ko lihaza pyaar ho gaya
jaise honthon pe halki si aayi hai hasi lekin
aankhe yeh geeli ho tu hai wo aansu jaaniya
haan o waise nadan hu hairan hu thoda pareshan hoon
samjhaau kya khud ko hans du ya ro du jaaniya
haan jaagi in khawahishon ko kaise main sulaaun janiya
haan jo bhi ho raha hai kaise main chhupaau jaaniya
oh jaaniya haal ye kaisa hai ishq ke jaisa hai
tune mujhe kya kar diya