SONG: O Varshaa Ke Pahale Baadal - ओ वर्षा के पहले बादल

O Varshaa Ke Pahale Baadal - ओ वर्षा के पहले बादल

LYRICS:
o varsha ke pahle baadal mera sandesha le jana o varsha ke pahle baadal mera sandesha le jana asuvan ki bundan barsa kar asuvan ki bundan barsa kar alka nagri me tum jakar khabar meri pahuchana o varsha ke pahle baadal mera sandesha le jana maal bhumi aur amarkut se vindhyachal narmda ko jana vidisha nagri aur setuhak hokar aage paanv badhana aag virah ki jaha bhi pana aag virah ki jaha bhi pana baras baras kar use bujhana o varsha ke pahle baadal mera sandesha le jana dekh andhera dekh andhera piya milan ko chalegi chhup kar koi gauri pag me tum bijli chamka kar khol na dena khol na dena, khol na dena uski chori virhan ko tum jaha bhi pana, use kahin na jalana o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana ujjaini me mahakaal ka mandir jab tum paao pujarino ka naach dekh kar pujarino ka naach dekh kar apna man bahlao par tum unke ang dhang ko dekh atak na jaao par tum unke ang dhang ko dekh atak na jaao shimla me na chambal me na kurushetra me rukna jungle me na ganga ki lahro ko jo man jhukna atal himalay pe chadhke phir yu mudna kailash ki or jyu chanda ko dekh pyare gagan ko jhume aaye chakor alka me phir dhundh use tum mera sadesha sunana o varsha ke pahle baadal mera sandesha le jana