SONG: O Varsha Ke Pahale Badal - ओ वर्षा के पहले बादल

O Varsha Ke Pahale Badal - ओ वर्षा के पहले बादल

LYRICS:
o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana asuvan ki bundan baras kar asuvan ki bundan baras kar alka nagri me tum jakar, khabar meri pahunchana o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana maal bhumi aur amarkut se vindhyachal, narmada ko jana vidsha nagri aur dewaasan hokar aage panv badhana aag virah ki jaha bhi pana aag virah ki jaha bhi pana baras baras kar use bujhana o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana dekh andhera, dekh andhera piya milan ko chalegi chhup kar koi gori path me tum bijli chamka kar, khol na dena khol na dena, khol na dena uski chori birhan ko tum jaha bhi pana, use kahi na jalana o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana ujjaini me mahakal ka, mandir jab tum paao pujariyo ka naach dekh kar pujariyo ka naach dekh kar apna man bahlao par tum unke ang dhang ko dekh atak na jao par tum unke ang dhang ko dekh atak na jao shimla me, na chambal me, na kurushetra me rukna dangal me, na ganga ki lahro ko chumne jhukna atal himalay ke chadhte, phir yu mudna kailash ki or jyun chanda ko dekhle pyare gagan ko jhume jaye chakor alka me phir jhume uthe tum mera sandesha sunana o varsha ke pahle baadal, mera sandesha le jana