Nigaho Me Ye Mastiya Kyo, Adaao Me Ye Shokiya Kyo - निगाहों में ये मस्तियाँ क्यों, अदाओ में ये शोखियाँ क्यों
LYRICS:
nigaho me ye mastiya kyo adao me ye shokhiya kyo
aye dil bata na yu chhupa koi to hai koi to hai
nigaho me ye mastiya kyo adao me ye shokhiya kyo
aye dil bata na yu chhupa koi to hai koi to hai
nigaho me mastiya kyo
dhadkano ke saj pe jo geet ga raha
dhadkano ke saj pe jo geet ga raha
jo labo ki jumbisho pe muskura raha
khwab me khyal me ye
kaun aata hai jata hai yun har ghadi
dur se bulane wala ye jadu sa jagane wala
aye dil bata na yu chhupa koi to hai koi to hai
nigaho me mastiya kyo
aanhko me sama gaya hai kiska baakpan
aanhko me sama gaya hai kiska baakpan
raat din lagi hui hai kiski ye lagan
kho gayi nazar kaha ye bekarari
ye halchal si hai kisliye
ke raaz kya hai tu hi jaane
tere siva na koi jaane
aye dil bata na yu chhupa koi to hai koi to hai