SONG: Netaji Ka Jeevan Hai Balidan Ki Ek Kahani - नेताजी का जीवन है बलिदान की एक कहानी

Netaji Ka Jeevan Hai Balidan Ki Ek Kahani - नेताजी का जीवन है बलिदान की एक कहानी

LYRICS:
ho netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani balidan hi balidan hai bachpan aur jawani bachpan aur jawani balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani oye bachpan hi se chanchal man me armano ka mela tha choti si ek lehar thi dil me toofano ka rela tha college me ustad jo tha vo tha london ka gora are usne kaha college me ek din hindi kala log chichora sher boss ka khun jo khola sher boss ka khun jo khola gore ko ek chapat lagai naam kata college se lekin hind ki laaj bachai netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani balidan hi balidan hai bachpan aur jawani balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani maat pita ne samjhaya aur englishtan ko kiya ravana bado ke aage boss na bole lekin baagi dil na mana yurop me ics ke imtihan ko paas kiya are itna ucha ohda pakar deshbakht ne chhod diya fir hindsutan me aakar pehle ghandi ko parnaam kiya ghandi ko parnaam kiya ghandi ko parnaam kiya vo desh ki seva ka bapu se pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya bharat ke dukh dard ko socha samjha aur pehcahana kamar band kar ran me aaya aajadi ka diwana aajadi ka diwana aajadi ka diwana kiya angrejo ne ye aid kare is baagi ko ab kaid kuchal dale masal dale kuchal dale masal dale magar bachpan se jo baagi ho vo julm se darna kya jane jalne se kab gabrate hai shama vatan ke parvane jiski rag rag me shole ho vo kya samjhe chingari ko hathkadiyo ko janjiro ko jelo ki char diwari ko kadam kadam par mushkil aayi lekin sher sada lalkara rah nahi sakta gair ke bas me hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me hidustan hamara sarkar ne kar dali najar band jaban band maidan ke jo mard hai hote hai kaha band ek raat ko chupke hi se gum ho gye neta shor hua subah kaha kho gaye neta janta bhi thi hairan to sarkar bhi hairan ud jane se bulbul ke tha saiyad pareshan lekin mata ko ye ummid thi laut aayega beta mata se kahe bina kaha jayega beta is aas me darwaje bhi ghar ke na kiya band aa jayega aa jayega vo laal vo parjand us maa se badi maa hai jo hindustan hai vo chodd gaya maa ko badi maa ko chudane is hind ki bigdi hui takdeer banane badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta aazadi ki nayi ladai ladne hamaara neta hindustan se kabul me aur kabul se london me chalte chalte pahuch gaya vo singapur ke ran me kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya ek ek tinka chuna aur aashiyana ban gaya jai gandhi jai subhash jai gandhi jai subhash jai hind jai hind jai hind jai hind jai hind