SONG: Neelkamal Par Dole Bhanwar - नीलकमल पर डोले भंवरा

Neelkamal Par Dole Bhanwar - नीलकमल पर डोले भंवरा

LYRICS:
nilkamal par dole bhanwara gun gun gun kya gaye nilkamal par dole bhanwara nilkamal par dole bhanwara gun gun gun kya gaye ban titali kyun kali pe nache aur kali kyun muskaye nilkamal par dole bhanwara lata drikht se kyun lipati hai nadi kise milne ko chali hai kis ke liye vyakul hai papiha piya piya kyun gaye nilkamal par dole bhanwara chandr bina kyun chakor tadpe chandr bina kyun chakor tadpe jal bin min kyun pran taj de kaun aag me jale patanga jal kar kya sukh paye nilkamal par dole bhanwara dur kshitij par phul khile hai dharti aur aakash mile hai kinse milun main virah ki mari bujhna chahe jiwan bati kaun hume samjhaye nilkamal par dole bhanwara