SONG: Nazaron Mein Samane Se Qaraar - नज़रों में समाने से क़रार

Nazaron Mein Samane Se Qaraar - नज़रों में समाने से क़रार

LYRICS:
nazro me samane se qaraar aa na sakega tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega tasvir nigaho me khaamosh tumhaari jo sun nahi sakti kabhi fariyad hamaari ye khali tasavvur kisi kaam aa na sakega tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega nazro me samane se qaraar aa na sakega tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega aayega khayal aake oh oh oh aayega khayaal aake guzarta hi rahega aahe koi dil thaam ke bharta hi rahega taskin ki surat koi batla na sakega tum paas nahin dil ko ye bahala na sakega nazro me samane se qaraar aa na sakega tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega takaraayenge ham sar kabhi divaar se dar se har saans me ublega lahu zakhm-e-jigar se dil dhundhega aa aa aa dil dhundhega tadpega tumhe pa na sakega tum paas nahin dil ko ye bahala na sakega nazro me samane se qaraar aa na sakega tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega