SONG: Naino Me Sawan Man Mere Phagun Palchin Jale Aur Jalaye - नैनो में सावन मन मेरे फागुन पलछिन जले ओर जलाये

Naino Me Sawan Man Mere Phagun Palchin Jale Aur Jalaye - नैनो में सावन मन मेरे फागुन पलछिन जले ओर जलाये

LYRICS:
naino me saawan man mere fagun palchhin jale aur jalaye yaad aaye bachpan yaad aaye re naino me saawan man mere fagun palchhin jale aur jalaye yaad aaye bachpan yaad aaye re yaad aaye re nachi nain me bachpan ke sathi yaad aaye wo pathshala yaad aaye re yaad aaye re yaad aaye re yaad aaye re banke kisi ki jab rajrani pahanti thi main phul mala wo din wo ratiya biti wo batiya reh reh ke dil ko dukhaye reh reh ke dil ko dukhaye babul ka aangan yaad aaye re yaad aaye re unse milan ki pehli ghadi thi magar tod di preet maine ban bawri haye ban ban phiri mai gawaya magar meet maine banke miti kyu mai yu luti kyu ye soch hardam sataye ye soch hardam sataye man ki wo uljhan yaad aaye re yaad aaye re man ka hiran mere jata kaha thi gale me bandhi prem dori phir se mile do bichade sitare mile apne chanda se bichadi chakori man ka hiran mere jata kaha thi gale me bandhi prem dori phir se mile do bichade sitare mile apne chanda se bichadi chakori ek pal khushi ka chanchal hasi ka mujhko hasake rulaye mujhko hasake rulaye sapno ka darpan yaad aaye re yaad aaye re ek pal khushi ka chanchal hasi ka mujhko hasake rulaye mujhko hasake rulaye sapno ka darpan yaad aaye re yaad aaye re