SONG: Nagri Nagri Dwaare Dwaare Dhundhu Re Sanwariya - नगरी-नगरी द्वारे-द्वारे ढूँढू रे सांवरिया

Nagri Nagri Dwaare Dwaare Dhundhu Re Sanwariya - नगरी-नगरी द्वारे-द्वारे ढूँढू रे सांवरिया

LYRICS:
nagari-nagari dware dware dhundu re savariya nagari-nagari dware dware dhundu re savariya piya-piya ratake mai to ho gayi re banvariya nagari-nagari dware dware dhundu re savariya bedardi balam ne mohe, phunka gam ki aag me phunka gam ki aag me biraha ki chingari bhar di, dukhiya ke suhaag me dukhiya ke suhaag me pal-pal manva roye chhalke naino ki gagariya nagari-nagari dware dware dhundu re savariya aai thi ankhiyo me lekar, sapae kya-kya pyar ke sapae kya-kya pyar ke jati hun do aansu lekar, aashayain sab haar ke aashayain sab haar ke duniyaa ke mele me lut gai jivan ki gathariya nagari-nagari dware dware dhundu re savariya darshan ke do pyase naina, jivan bhar na soyenge jivan bhar na soyenge bichhde saajan tumre kaaran, raato ko ham royenge raato ko ham royenge ab na jaane raama kaise bitegi umariya nagari-nagari dware dware dhundu re savariya piya-piya ratake mai to ho gayi re banvariya