SONG: Nagari Meri Kab Tak, Ai Chaand Ummidon Ko - नगरी मेरी कब तक, ए चाँद उम्मीदों को

Nagari Meri Kab Tak, Ai Chaand Ummidon Ko - नगरी मेरी कब तक, ए चाँद उम्मीदों को

LYRICS:
nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi duniyaa duniyaa yahi duniyaa hai to kyaa yaad rahegi nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi aakaash pe nikhraa huaa hai chaand kaa mukhdaa aakaash pe nikhraa huaa hai chaand kaa mukhdaa basti me garibo ki andhere kaa hai dukhdaa duniyaa duniyaa yahi duniyaa hai to kyaa yaad rahegi nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi kab hogaa saveraa kab hogaa saveraa koi ai kaash bataa de kis vaqt tak ai ghumte aakaash bataa de insaano par insaan ki bedaad rahegi nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi chahkaaro se chidiyo ke chaman gunj rahaa hai jharno ke madhur raag se ban gunj rahaa hai par meraa to, par meraa to par meraa to fariyaad se man gunj rahaa hai par meraa to fariyaad se man gunj rahaa hai kab tak mere hotho pe ye fariyaad rahegi nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi