SONG: Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun - ना किसी की आँख का नूर हूँ

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun - ना किसी की आँख का नूर हूँ

LYRICS:
na kisi ki aankh ka noor hu na kisi ki aankh ka noor hu na kisi ke dil ka karar hu jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek mushthe gubar hu na kisi ki aankh ka noor hu na to main kisi ka habib hu na to main kisi ka rakib hu jo bigad gaya wo nasib hu jo ujad gaya wo dayar hu na kisi ki aankh ka noor hu mera rang roop bigad gaya mera yaar muhjse bichhad gaya jo chaman fiza se ujad gaya main usi ki fasle bahar hu na kisi ki aankh ka noor hu pay fatiha koi aaye kyo koi char phool chadhaye kyo koi aake shamma jalaye kyo main wo bekasi ka majar hu na kisi ki aankh ka noor hu na kisi ke dil ka karar hu jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek mushthe gubar hu na kisi ki aankh ka noor hu.