SONG: Na Aadmi Ka Koi Bharosa - ना आदमी का कोई भरोसा

Na Aadmi Ka Koi Bharosa - ना आदमी का कोई भरोसा

LYRICS:
teri mohabbat pe shak nahi hai teri wafao ko maanta hu magar tujhe kiski aarju hai main ye hakikat bhi jaanta hu na aadami ka koyi bharosa na dosti ka koyi thikana wafaa kaa badalaa hain bewafayi ajab jamana hain yeh jamana na aadami ka koyi bharosa na husn me ab wo dilakashi hai na ishk me ab woh jindagi hai jidhar nigahe uthake dekho sitam hain dhokha hain berukhi hai badal gaye jindagi ke nagame bikhar gayaa pyaar kaa tarana badal gaye jindagi ke nagame bikhar gaya pyaar kaa tarana na aadami ka koyi bharosa dawa ka badale me jeher de do utaar do mere dil me khanjar lahu se sincha tha jis chaman ko uge hain shole ussi ke andar mere hi ghar ke charaag ne khud jala diya mera aashiyana mere hi ghar ke charaag ne khud jala diya mera aashiyana na aadami ka koi bharosa na dosti ka koi thikana wafaa kaa badala hain bewafayi ajab jamana hain yeh jamana