SONG: Murge Ne Jhooth Bola Murge Ki Chu Chu Ho Gayi - मुर्गे ने झूठ बोला मुर्गे की चू चू हो गयी

Murge Ne Jhooth Bola Murge Ki Chu Chu Ho Gayi - मुर्गे ने झूठ बोला मुर्गे की चू चू हो गयी

LYRICS:
murge ne jhut bola murge ki chu chu ho gayi bakri ne jhut bola bakri ki tu tu ho gayi oo ho bakari ne jhut bola oo ho bakari ki tu tu ho gayi murge ne jhut bola murge ki chhu chhu ho gayi mathura me tin bandar jate the roj mandir mathura me tin bandar jate the roj mandir kahta jo bat pujari rakhte wo yaad sari bura kabhi na dekho bura kabhi na bolo bat jaha ho buri kan waha na kholo jisne burayi sikhi hoye hoye hoye ha ji jisne burayi sikhi uski to ku ku ho gayi murge ne jhut bola murge ki chu ho gayi bakari ne jhut bola bakari ki tu ho gayi dilli ka ek kawa chidiya se ek din bola aao pakaye khichadi miljul ke khaye khichadi chawal ka dana mera mung ka dana tera lene gaya wo pani chidiya thi chor ki nani chupke se khake dana cahki me kiya thikana kawe ne chaki pisi aayi aawaj si si chidiya ne chori ki thi hoye hoye hoye ha ji chidiya ne chori ki thi chidiya ki su su ho gayi murge ne jhut bola murge ki chu ho gayi bakari ne jhut bola bakari ki tu ho gayi oo ho bakari ne jhut bola aa ha bakari ki tu tu ho gayi murge ne jhut bola murge ki chu chu ho gayi bakari ne jhut bola bakari ki tu tu ho gayi