SONG: Mujhe Gale Se Laga Lo, Bahut Udaas Hu Main (Duet) - मुझे गले से लगा लो, बहुत उदास हूँ मैं

Mujhe Gale Se Laga Lo, Bahut Udaas Hu Main (Duet) - मुझे गले से लगा लो, बहुत उदास हूँ मैं

LYRICS:
mujhe gale se laga lo, bahut udas hu mai game jaha se chhuda lo, bahut udas hu mai mujhe gale se laga lo nazar me tir se chubhte hai ab nazaro se mai thak gayi hu sabhi tutate saharo se ab aur bojh na dalo, bahut udas hu mai mujhe gale se laga lo bahut sahi gam-e-duniya magar udas na ho karib hai shab-e-gam ki sahar udas na ho bahut sahi gam-e-duniya sitam ke hath ki talvar tut jayegi ye unch-nich ki divar tut jayegi tujhe kasam hai meri hamsafar udas na ho bahut sahi gam-e -uniya na jane kab ye tarika ye taur badlega sitam ka gam ka musibat ka daur badlega mujhe jaha se utha lo, bahut udas hu mai mujhe gale se laga lo