SONG: Mohe Ram Rang De - मोहे राम रंग दे

Mohe Ram Rang De - मोहे राम रंग दे

LYRICS:
aao tumko le chale ram siya ke desh re kaushalya ki god mein pragate awadh kunj mein awadh bihari siya sang mein racha svayamvara tode dhanush saras dhanurdhari aayi awadh mein janak dulari harsh de har ek charan pakhari mohe ram rang rang de re mohe ram rang rang de re ram nihare siya ko re siya nihare ram ko re dasi main ram ki dasi re dasi mere ram ki dasi re kaikeyi ko raj tilak toh ram chadar ka raas na aaya dasharath ke sharan aakar boli unka var unhein yaad dilaya dasharath bole mango priye tum tan man dhan sab tum par arpan bharat ko do tum raj sinhasan 14 varsh ka ram ko do van putra pita ka vachan nibhane van ki aur lage kadam badhane site boli hey raghunandan main bhi chalun van dharam nibhane raat ki mamta lakhan ko khinche ram siya ke chal bhaye pichhe chal bhaye pichhe chitrakut ke ghat sajayi joothi ber sabri ki khayi roopvati le roop surpanakha naak kata ke pahunchi lanka lanka mein ravan ka danka kaanta na kaagran vanka dhikkar hai dhikkar hai dhikkar hai bhai ravan teri veerta ko dhikkar hai van mein aaye do nar nari ek ne kati naak humari shankhnaad sa lage garajne pahucha chhal kar siya ko harne marich ban mrig chalan prayi laagal vaan lakhan kohnaayi sadhu besh dhar ke chalkari bhiksha do mohe haak pukari karke haran chal diya asanka pahuch gaya siya har le lanka van van dhundat lakhan raghubira sahet kalesh kathin tan peera kalpat prabhu se kehat jatayu siya haran ka raj batayi mile kapihari man anuraga prabhu ke daas safal kar kaja sanka to ude hanumant ran lanka foonk diye jakar gadh lanka haan lanka foonk diye hanumant ne lanka mata main aagya chahta hoon sri ram chandar ji ke liye koyi sandesha ho toh aadesh ho mata hari charan chhu kar ashish lena chudamani kapi prabhu ko dena hari bin kitna man hai vyakul ram ko siye ka sandesha dena ja re pawan ja leja sandesha piy ko mere leja sandesha pavansutt sudh le aaye ram ko siya ka haal bataye hahakaar gunjal gaganagan baudh se van chale hain sansan ghamasan chhid gayi ladayi asur sanghar vijay hari paayi ravan vadh kar siya liya ke lakahn sahit ab awadh mein aake ram raj bhayi sab jag jana prabhu leela sab jagat bakhana mohe ram rang rang de.