SONG: Mohe Bhul Gaye Sanwariya - मोहे भूल गये साँवरिया

Mohe Bhul Gaye Sanwariya - मोहे भूल गये साँवरिया

LYRICS:
jo mai aisa jaanti ke prit kiye dukh hoy o, nagar dhidhora pitti ke prit na kariyo koy mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya aavan kah gaye, ajhu na aaye aavan kah gaye, ajhu na aaye, lini na mori khabriya mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya dil ko diye kyo dukh birha ke tod diya kyo mahal bana ke dil ko diye kyo dukh birha ke tod diya kyo mahal bana ke aas dila ke o bedardi aas dila ke o bedardi pher li kaahe najriya mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya nain kahe ro-ro ke sajna dekh chuke ham pyaar ka sapna nain kahe ro-ro ke sajna dekh chuke ham pyaar ka sapna prit hai jhuti, pritam jhuta prit hai jhuti, pritam jhuta jhuti hai saari nagriya mohe bhul gaye sanwariya, bhul gaye sanwariya