SONG: Milti Hai Ahledin Ko Rahat Namaz Me - मिलती हैं एह्लेदीन को राहत नमाज़ में

Milti Hai Ahledin Ko Rahat Namaz Me - मिलती हैं एह्लेदीन को राहत नमाज़ में

LYRICS:
milti hai ahledin ko rahat namaz me hoshida hai khuda ki mohabbat namaz me milti hai ahledin ko rahat namaz me hoshida hai khuda ki mohabbat namaz me sun kar azan jo koi maszid me jayega jannat me apna ghar wo yakinan banayega allah ka karam hai namazi ke waste sirdash hai naram hai namaze ke waste majhab ke har asul ki sartaj hai namaz or aashiko ke waste mehraz hai namaz mashur hai ye ik namazi ka wakiya sahid ki vidai ka gazi ka wakiya rahe khuda me ladne chala ek nojawa ruksat hua jo beta to boli ye uski ma rakha asul pak ki farman ka khyal ek waqt ki namaz bhi chute na mere lal jannat ki hai ye kunji bujurgo ki ray me gazi namak padhte hai devo ke saye me samjha chuki jab apne chahete ko pyari maa wada kiya namaz ka ruksat hua juda dunia judai ka ye sama dekhti rahi beta chala jihad ko maa dekhti rahi kurban hone raj dulara chala gaya afsos budhi maa ka sahara chala gaya mamata tadap ke rah gayi arman so gaye kal kissa is tarah se kayi sal ho gaye maa ki har ek aarzu gum se badal gayi bete ka khat na aaya na koi khabar mili lekin wo har namaz me karti thi ye dua allah muh dikhana mujhe mere lal ka ek din ka wakiya hai ke jab padh chuki namaz kahne lagi khuda se ke aye rabdekar saj ro ro ke tere samne kab tak dua karu aaye wo din ke sukar ka sajda ada karu mashul thi dhadkano me wo bejuba or us taraf dikhata hai manjar ye aasma ek jakham kaleje pe taja liye hue kuch log aa rahe hai janaja liye hue ranjo alam se unka jigar pas pas hai kandhe pe ek jawan mujahid ki lash hai afsos budhi maa ko isi ki talash thi wo lash us garib ke bete ki lash thi rakha gaya janaja jab uske makan par bijli si ek chamakne lagi aasman par andaher hai jamane pe koi asar nahi bete ki lash aayi hai maa ko khabar nahi dekhegi lash maa to kayamat uthayegi mayyyat jawan bete ki dekhi na jayegi kya jurm hai sitam hai idhar mar gaya jawa or us taraf khuda se dua mangti hai maa wakif hai tu garib abhagan ke hal se allah ab mila de tu mujhe apne lal se aayega mera lal to dulha banaungi mai uske sar pe phulo ka sehra sajaungi hai ek hi to aasra wo mujh garib ka ghar ka chirag hai to ujala nasib ka jab mang kar dua uthi wo sahe benasib dekha tamam logo ne ye wakiya azib aisa asar dihkaya duao namaz ne murde me jan dal di us benayaz ne hairat se dekhne laga har chota or bada beta utha or amma ke kadmo pe gir pada kya lutf hai namaz pe ye man jaiye yani khuda ki shan ke kurban jaiye kurban jaiye kurban jaiye kurban jaiye kurban jaiye