SONG: Meri Pahali Aarazu Ka - मेरी पहली आरज़ू का ये सलाम याद रखना

Meri Pahali Aarazu Ka - मेरी पहली आरज़ू का ये सलाम याद रखना

LYRICS:
meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna mera naam hai mohabbat mera naam yaad rakhna meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna jaha dil se dil mile the wo mukaam yaad rakhna jaha dil se dil mile the wo mukaam yaad rakhna mera naam hai tamnnaa mera naam yaad rakhna meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna ye khili-khili fizaayen ye jhuki-jhuki ghatayen ye ruki-ruki si baatein ye dabi-dabi sadayen ye khili-khili fizaayen ye jhuki-jhuki ghatayen ye ruki-ruki si baatein ye dabi-dabi sadayen yahi subah pyaar ki hai yahi shaam yaad rakhna jaha dil se dil mile the wo mukaam yaad rakhna mera naam hai tamnnaa mera naam yaad rakhna jaha dil se dil mile the wo mukaam yaad rakhna mere dil pe chhaa gayaa hai tere rup kaa saveraa naye chaand se hai roshan teri zulf kaa andheraa mere dil pe chhaa gayaa hai tere rup kaa saveraa naye chaand se hai roshan teri zulf kaa andheraa mere pyaar ke jaha kaa ye payaam yaad rakhna meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna mera naam hai mohabbat mera naam yaad rakhna jaha dil se dil mile the wo mukaam yaad rakhna teri har adaa mein dekhi maine jannto ki raahein mere dil mein bas gayi hain teri madbhari nigaahein teri har adaa mein dekhi maine jannto ki raahein mere dil mein bas gayi hain teri madbhari nigaahein yahi daur yaad rakhna yahi jaam yaad rakhna meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna mera naam hai mohabbat mera naam yaad rakhna mera naam hai tamnnaa mera naam yaad rakhna meri pahli aarzu kaa ye salaam yaad rakhna