SONG: Manavta Hogi - मानवता होगी

Manavta Hogi - मानवता होगी

LYRICS:
manavata hogi kisi aur mein na aisi manavata hogi kisi aur mein na aisi pavanata tujhme hai ganga ke jaisi phir bhi main pyasi preet teri kaisi manavata hogi kisi aur mein na aisi pavanata tujhme hai ganga ke jaisi ho tujhe chand tare dekhte hai sare darshan ko vyakul hai naina hamare darpan sa nirmal hirday tera komal phir kyun tu baitha hai mujhko bisare kiran tujhko chume pawan lipat jhume ek main hi tarsu ye reet teri kaisi manavata hogi kisi aur mein na aisi pavanata tujhme hai ganga ke jaisi o tu hai ratan mera jag hai lutera chhin le na koi ye jivan dhan mera o tu hai ratan mera jag hai lutera chhin le na koi ye jivan dhan mera sabako pyar bante mujhe diye kante nirmohi sajana ye reet teri kaisi manavata hogi kisi aur mein na aisi pavanata tujhme hai ganga ke jaisi ho mahak uthe madhuban nanch uthe aangan pyasi dharti ne bhi paya hai sawan tere man ke andar pyar ka samandar phir bhi kyun khali mera hi daman tune o sawariya li na kyun khabariya jale ko jalaye ye reet teri kaisi manavata hogi kisi aur mein na aisi pavanata tujhme hai ganga ke jaisi phir bhi main pyasi preet teri kaisi manavata hogi kisi aur mein na aisi pavanata tujhme hai ganga ke jaisi