SONG: Manamani Se Haragiz Na Daro, Kabhi Shadi Na Karo - मनमानी से हरगिज़ ना डरो, कभी शादी ना करो

Manamani Se Haragiz Na Daro, Kabhi Shadi Na Karo - मनमानी से हरगिज़ ना डरो, कभी शादी ना करो

LYRICS:
manmaani se hargiz na daro, kabhi shaadi na karo manmaani se hargiz na daro, kabhi shaadi na karo are marzi hai, aaj kahi baahar khaana khaaye vo kahegi, nahi sahab thik aath baje ghar wapas aa jaaye kitaab liye haath me aap chain se baithe hai vo kahegi, hamse ruthe hai kabhi kisi bhi nari se kar lo, do baate vo kahegi, kya inhi se hoti hai chhup ke mulaqaate? are, tauba bevaqufi ki hai shaadi intaha are, aurat apna soche auro ki nahi parvaah kyo thik nahi kaha maine jo ji mai aaye vo karo kabhi shaadi na karo manmaani se hargiz na daro, kabhi shaadi na karo zara sochiye aaram se aap ye jiwan ji rahe hai pasand ka kha rahe, pasand ka pi rahe hai achcha khasa ghar hai aapka lekin kya kare aap se juda hai shauhar begam sahab ka aate hi kahe suniye ji har chiz ko badlo pehle parde fir sofa fir apna huliya badlo aji maana tanhai se kabhi dil ghabraayega jivan sathi ki zarurat mehsus karaayega lekin is ghabaraahat me jo shadi kar baithe wo umr bhar pachhataayega jite ji are bhai na maro kabhi shadi na karo manmaani se hargiz na daro kabhi shaadi haa kabhi shaadi, na baaba na