SONG: Man Meet Aur Preet Milte Hai (Part 2) - मनमीत और प्रीत मिलते हैं मुकद्दर से

Man Meet Aur Preet Milte Hai (Part 2) - मनमीत और प्रीत मिलते हैं मुकद्दर से

LYRICS:
manmeet aur preet milte hai mukaddar se manmeet aur preet milte hai mukaddar se kayi dube kayi laut aaye gaye jo moti lane samundar se meri jan ladna padta hai mukaddar se o meri jan ladna padta hai mukaddar se sajdo me ho dum to suna hai murade mil jati hai patthar se manmeet aur preet milte hai mukaddar se jodiya aati jo najar pahle se chuni jati hai shadiya hoti jo yaha jannat me likhi jati hai jinhe milna na ho, bin bole chale wo jate hai barabar se meri jan ladna padta hai mukaddar se duriya kitni hi sahi, sathi hi kahe jate hai aasman aur dharti sada jodi me gine jate hai lagte hai juda, par dono bandhe hai kahi andar hi andar se manmeet aur preet milte hai mukaddar se koshishe karne par mile yaha kismat meharba hoye agar na ho pane ka yaki to koi umar kyu khoye manjil se hame to matlab hai garaz nahi raaho ke chakkar se meri jan ladna padta hai mukaddar se sajdo me ho dum to suna hai murade mil jati hai patthar se manmeet aur preet milte hai mukaddar se gaye jo moti lane samundar se meri jan ladna padta hai mukaddar se manmeet aur preet milte hai mukaddar se