SONG: Main Tumhi Se Ye Puchhati Hun, Mujhe Tumase Pyaar Kyun Hai - मैं तुम्ही से पूछती हूँ, मुझे तुमसे प्यार क्यूँ हैं

Main Tumhi Se Ye Puchhati Hun, Mujhe Tumase Pyaar Kyun Hai - मैं तुम्ही से पूछती हूँ, मुझे तुमसे प्यार क्यूँ हैं

LYRICS:
koi ikraar kare ya koi inkaar kare hum se ek baar, nigahe to jara char kare tum hasi ho tumhe sab dil me jagah dete hain hum me kya baat hain, aisi jo koi pyar kare main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain main tumhi se puchhti hu mujhe kyu pukarti hain, ye jawa jawa fijaye mujhe mil gayi kahan se, ye hasi hasi adaye ye hasi hasi adaye meri zindagi pe chhayi, ye nayi bahare kyu hain main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain main tumhi se puchhti hu jo kadam utha rahi hu, wo kadam bahak raha hain mile tum se kya nigahe, mera dil dhadak raha hain mera dil dhadak raha hain mere dil pe hath rakh do, tumhe intjaar kyu hain main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain main tumhi se puchhti hu tumhi samne ho mere, main jidhar najar uthau tumhe bhulana bhi chahu, to kabhi na bhul paau to kabhi na bhul paau mere dil pe haye itna tumhe ikhthiyar kyu hain main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain main tumhi se puchhti hu