SONG: Main Parinda Kyu Banoon - मैं परिंदा क्यूँ बनूँ

Main Parinda Kyu Banoon - मैं परिंदा क्यूँ बनूँ

LYRICS:
jalna bujhna bujh ke jalna marna jeena mar ke jeena mangne wali cheez nahi ye mauka uska jisne cheena girna uthna uth ke chalna chadh ja ambar zeena zeena yaad rehe ye shart safar ki peeche mud ke dekh kabhi na jeet ka junoon hai toh haar sochna kyun jab zindagi hai ek hi do baar sochna kyun main parinda kyun banu mujhe aasmaan banna hai main ik panna kyun rahu mujhe dastaan banna hai main parinda kyun banu mujhe aasmaan banna hai koyi to wajah hai jo zid pe adi hai ye dhadkane yahi to maza hai kiya jo kisi ne nahi hum kare koyi to wajah hai jo zid pe adi hai ye dhadkane haan yahi to maza hai kiya jo kisi ne nahi hum kare lalkaar ki ghadi hai ye bekar sochna hai kyun jab zindagi hai ek hi do baar sochna kyun main parinda kyun banu mujhe aasmaan banna hai main ik panna kyun rahu mujhe dastaan banna hai main parinda kyun banu mujhe aasmaan banna hai sooraj aankh dikha le aaj kal teri aankh jhukni hai tere andar hai jitni aag yahan usse bhi dugni hai sooraj aankh dikha le aaj kal teri aankh jhukni hai tere andar hai jitni aag yahan usse bhi dugni hai talwar hath mein hai tere de maar sochna kyun jab zindagi hai ek hi do baar sochna kyun main parinda kyun banu mujhe aasmaan banna hai main ik panna kyun rahu mujhe dastaan banna hai main parinda kyun banu mujhe aasmaan banna hai.