SONG: Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho - मैं जब भी अकेली होती हूँ, तुम चुपके से आ जाते हो

Main Jab Bhi Akeli Hoti Hun, Tum Chupake Se Aa Jaate Ho - मैं जब भी अकेली होती हूँ, तुम चुपके से आ जाते हो

LYRICS:
main jab bhi akeli hoti hu main jab bhi akeli hoti hu, tum chupke se aa jaate ho aur jhaank ke meri aankho me, bite din yaad dilaate ho bite din yaad dilaate ho mastaana hawa ke jhonko se har baar wo parde ka hilna parde ko pakadne ki dhun me do ajnabi haatho ka milna aankho me dhua sa chha jaana, saanso me sitaare se khilna bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho mud-mud ke tumhaara raste me takna wo mujhe jaate-jaate aur mera thithak kar ruk jaana chilman ke qarib aate-aate nazro ka taras kar rah jaana ek aur jhalak paate-paate bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho barsaat ke bhige mausam me barsaat ke bhige mausam me, sardi ki thitharti rato me pahro wo yu hi baithe rahna haatho ko pakadkar haatho me aur lambi lambi ghadiyo ka kat jaana baato baato me bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho ro-ro ke tumhe khat likhti hu ro-ro ke tumhe khat likhti hu aur khud padhkar ro leti hu haalaat ke tapte tufaan me jazbaat ki kashti kheti hu kaise ho kahaan ho kuchh to kaho kaise ho kahaan ho kuchh to kaho main tum ko sadaaye deti hu main jab bhi akeli hoti hu main jab bhi akeli hoti hu, tum chupke se aa jaate ho aur jhaank ke meri aankho me, bite din yaad dilaate ho bite din yaad dilaate ho