SONG: Mai Woh Hasin Hu Labo Pe Jo - मैं वो हँसी हूँ, लब पे जो आने से रह गई

Mai Woh Hasin Hu Labo Pe Jo - मैं वो हँसी हूँ, लब पे जो आने से रह गई

LYRICS:
mai woh hasin hu, labo pe jo aane se reh gai mai woh shama hu, jo kabhi roshan nahi hui mai woh umang nikali, jo dil se na ek bar mai woh khushi, ke gam ne jise kar liya shikar mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar mai woh chaman hu, jisame na aai kabhi bahar ghar jal gaya toh, aag bujhane se fayda ghar jal gaya toh, aag bujhane se fayda usame wafa ko, abb yeh jatane se fayda jatane se fayda par mere dil ka chain, meraa dil hai bekarar mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar kashti bhatak rahi hai, kinara nahi koi kashti bhatak rahi hai, kinara nahi koi majbur jindagi ka, sahara nahi koi sahara nahi koi marne ka intejar hain, marne ka intejar mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar mai woh dulhan hu, ras na aaya jise singar mai woh chaman hu, jismein na aai kabhi bahar