SONG: Mai Tere Pyar Me Pagal Aise Gumta Hu - मैं तेरे प्यार में पागल ऐसे घूमता हूँ

Mai Tere Pyar Me Pagal Aise Gumta Hu - मैं तेरे प्यार में पागल ऐसे घूमता हूँ

LYRICS:
mai tere pyar me pagal aise ghumta hu jaise mai koi pyasa badal barkha ko dhundata hu mai tere pyar me pagal aise ghumti hu jaise mai koi pyasi badli sawan ko dhundti hu mai tere pyar me pagal pagal pagal pagal jab jab tu chhup jati hai in phulo ki galiyo me jab jab tu chhup jati hai in phulo ki galiyo me aur chatakne lagti hai kitni kaliya kaliyo me mai tera pata sabhi se aise puchhta hu jaise mai koi bhula rahi manjil ko dhundata hu mai tere pyar me pagal pagal pagal pagal mere chehre pe teri thahri thahri do aankhe aankhe aankhe mere chehre pe teri thahri thahri do aankhe kitni gehari jhil hai ye jhil se gehari do aankhe mai teri in aankho me aise dubti hu jaise mai koi tuti naiya manjhe ko dhundti hu mai tere pyar me pagal pagal pagal pagal tu ho na ho aankho me rahti teri surat hai ye man prem ka mandir hai jisme teri ye murat hai mai teri is murat ko aise pujti hu jaise mai koi vyakul radha mohan ko dhundti hu mai tere pyar me pagal aise ghumta hu jaise mai koi pyasa badal jaise mai koi pyasi badli barkha ko dhundata hu sawan ko dhundti hu barkha ko dhundata hu