SONG: Mai Janti Hu Tum Na Aaoge Kabhi Piya - मैं जानती हूँ तुम ना आओगे कभी पिया

Mai Janti Hu Tum Na Aaoge Kabhi Piya - मैं जानती हूँ तुम ना आओगे कभी पिया

LYRICS:
main janti hu tum na aaoge kabhi piya phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya o piya, o piya lekar phulo ki raat me taro ki aarti lekar phulo ki raat me taro ki aarti o devta, o devta main der se rasta niharti rasta niharti malum hai mujhe ke mil na payega jiya phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya o piya, o piya main maanti hu tum na pahnoge kabhi ye haar main maanti hu tum na pahnoge kabhi ye haar aanchal me sukh jayenge aansu ke har singaar aansu ke har singaar kitne hai tute haar ko gale laga liya phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya o piya, o piya pure baras me ek din aane ki baat thi pure baras me ek din aane ki baat thi is paar aa ,is paar aake hilmil jane ki baat thi thi aane ki baat thi wada kiya tumhi ne, tumhi ne bhula diya phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya o piya, o piya main janti hu tum na aaoge kabhi piya phir bhi tumhari raah me jala rahi deeya o piya, o piya