SONG: Mahafil Me Bar Bar Kisee Par Najar Gayee - महफ़िल, महफ़िल में बार बार किसी पर नज़र गई

Mahafil Me Bar Bar Kisee Par Najar Gayee - महफ़िल, महफ़िल में बार बार किसी पर नज़र गई

LYRICS:
mehfil, mehfil me baar baar kisi par najar gayi mehfil me baar baar kisi par najar gayi humne bachayi lakh magar humne bachayi lakh magar phir udhar gayi mehfil me baar baar kisi par najar gayi unki najar me koyi to jadu jurur hai unki najar me koyi to jadu jurur hai jis par padi usi ke jigar tak utar gayi jis par padi usi ke jigar tak utar gayi mehfil me baar baar kisi par najar gayi us bewafa ki aankh se aansu chhalak pade us bewafa ki aankh se aansu chhalak pade hasrat bhari nigah bada kaam kar gayi hasrat bhari nigah bada kaam kar gayi mehfil me baar baar kisi par najar gayi unke jamal-e-rukh pe unhi ka jamal tha unke jamal-e-rukh pe unhi ka jamal tha wo chal diye to raunake sham-o-sahar gayi wo chal diye to raunake sham-o-sahar gayi mehfil me baar baar kisi par najar gayi unko khabar karo ke hai bismil karib-e-marg unko khabar karo ke hai bismil karib-e-marg wo aayenge jurur jo un tak khabar gayi wo aayenge jurur jo un tak khabar gayi unki najar me koyi to jadu jurur hai humne bachayi lakh magar humne bachayi lakh magar phir udhar gayi mehfil me baar baar kisi par najar gayi