SONG: Maar Liya Maidaan

Maar Liya Maidaan

LYRICS:
maar liya maidaan humne maar liya maidaan kaisa raha plan apna badhiya rahi plan waah re chacha waah bhatizi mai to dono pe qurban waah re chacha waah re bhatizi mai to dono pe qurban maar liya maidaan humne maar liya maidaan dekh liya ye duniya kya hai kya hai duniyawale sone ki chabhi se khulte sab ke dilo ke tale jo is bhed se wakif hai wo sab ko jeb me dale jo is bhed se wakif hai wo sab ko jeb me dale humne ye gun sikh liya hum hai kabil inshan humne ye gun sikh liya hum hai kabil inshan are maar liya maidaan humne maar liya maidaan rang ka bhed or nashl ke jhagde sab kehne ki bate jinke ghar laxmi ka dera unki unchi jaate are aage chale rupya paisa pichhe chale barate are aage chale rupya paisa pichhe chale barate dukano ke lebal dekh ke bikte hai pakwan dukano ke lebal dekh ke bikte hai pakwan are maar liya maidaan humne maar liya maidaan kaisa raha plan apna badhiya rahi plan