SONG: Maa Ab Kaun Sune Kaun Sune - माँ अब कौन सुने कौन सुने

Maa Ab Kaun Sune Kaun Sune - माँ अब कौन सुने कौन सुने

LYRICS:
maa ab kaun sune kaun sune gam ki kahani ab kaun sune kaun sune maa pahle hai jo biti huyi maa pahle hai jo biti huyi aankho ki jubani ab kaun sune kaun sune gam ki kahani mata tujhe paya mere bhagwan ka saya mata tujhe paya mere bhagwan ka saya aur mujh pe yaha chhayi hai dukh dard ki chhaya aur mujh pe yaha chhayi hai dukh dard ki chhaya na din suhane mere na din suhane mere na rate suhani ab kaun sune kaun sune gam ki kahani ab kaun sune kaun sun bapu ne bhi munh mod ke dil tod diya hai bapu ne bhi munh mod ke dil tod diya hai kismat ne bhi ab mera sath chhod diya hai kismat ne bhi ab mera sath chhod diya hai ek yad teri hai ek yad teri hai mere jine ki nishani ab kaun sune kaun sune gam ki kahani ab kaun sune kaun sun