SONG: Lelo Lelo Muliram Aur Bhindimal Ka - लेलों मुलीराम और भिन्डीमल का

Lelo Lelo Muliram Aur Bhindimal Ka - लेलों मुलीराम और भिन्डीमल का

LYRICS:
o lelo muliram aur bhindimal ka nikal gaya hai diwala bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala are muliram aur bhindimal ka nikal gaya hai diwala bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala o sun mere babu o ruk mere raja o dekho ji dekho mere lala bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala patne ki gajar banaras ka parwal surat ki gobhi majedar hai are aisa na maal mile sare bazaar me tera bhatakna ye bekar hai o ghar me khali hath na jana joru karegi ghotala o ghar me khali hath na jana joru karegi ghotala waah bahi waah o bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala delhi ka tamatar le jaao ji mister khaye jo mera maal bane deputy collector bambai ka batata merath ka karela aa pass mere chhod ke duniya ka jhmela o methi muradabad ki ye papdi nadyaad ki chhoti si dukan hai meri shan ahamdabad ki o lelo ji ye culcutte ka baingan kala kala lelo ji ye culcutte ka baingan kala kala ha bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala muliram aur bhindimal ka nikal gaya hai diwala bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala o sun mere babu o ruk mere raja o dekho ji dekho mere lala bada hi sasta maal bechne aaya hai bhajiwala