SONG: La De Mohe Balma, Aasmani Chudiya - ला दे मोहे बालमा आसमानी चूड़ियाँ

La De Mohe Balma, Aasmani Chudiya - ला दे मोहे बालमा आसमानी चूड़ियाँ

LYRICS:
la de mohe baalma aasmani chudiya ji aasmani chudiya, o dil ko mere bhaye na ye purani chudiya ji ye purani chudiya la de mohe baalma aasmani chudiya, o dil ko mere bhaye na ye purani chudiya ji ye purani chudiya aji bharke najar dekh lo idhar chudiyo ki tum karo na fikar bhul na jana dil ko lekar ghayal man hai, zakhmi jigar jab se ladi tum se najar hum hai udhar tum ho jidhar aao ji kar le mil ke guzar duniya ko ho na magar tere mere dil ki khabar tere liye launga man lubhani chudiya ji man lubhani chudiya la de mohe baalma aasmani chudiya, o dil ko mere bhaye na ye purani chudiya ji ye purani chudiya bhole piya mera jiya tum ne liya hai bhole piya mera jiya tum ne liya hai aji tum ne hume, hum ne tumhe pyar kiya hai aji tum ne hume, hum ne tumhe pyar kiya hai tumhe chhod ke balam jayenge na hum khaye huye hai pyar ki kasam royega na dil khayenge na gam, koi na hoga dil pe sitam tum hi piya, tum hi sanam, rakhna meri laaj sharam tere hi dum se hai mera dum laagi ho dekho na kam sath milke chham chhama chham de de mujhe pyar ki tu nishani chudiya ji tu nishani chudiya la de mohe baalma aasmani chudiya ji aasmani chudiya, o dil ko mere bhaye na ye purani chudiya ji ye purani chudiya aaha tere liye launga man lubhani chudiya ji man lubhani chudiya