SONG: Kuchh Sher Sunata Hu Mai - कुछ शेयर सुनाता हूँ मैं

Kuchh Sher Sunata Hu Mai - कुछ शेयर सुनाता हूँ मैं

LYRICS:
kuchh sher sunata hu main kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai seekhi hai tumse phool ne, hansne ki har ada seekhi hawaa ne tumse hi, chalne ki har ada aainaa tumko dekh ke, hairaan ho gaya ek bezubaan tumse, pashemaan ho gaya kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan rukti nahi zubaan kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai haatho ki loch ras bhari shaakho ki dastan naazuk hatheliyon pe wo, mehandi ka gulsita
pad jaaye tumpe dhoop to, sanwlaaye gora tan makhmal pe tum chalo to, chhile paao gulbadan kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan rukti nahi zubaan kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai aankhe agar jhuke to, mohabbat machal uthe nazren agar uthe to, qayaamat machal uthe andaaz main huzoor ka, saani nahi koyi dono jahaan me aisi, jawaani nahi koyi kitni bhii taarif karu, rukti nahin zubaan rukti nahin zubaan kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai