SONG: Krodh Na Karna Re Sansari - क्रोध ना करना रे संसारी

Krodh Na Karna Re Sansari - क्रोध ना करना रे संसारी

LYRICS:
krodh na karna re sansari krodh kiya to bhul ki bhari sau sau ghar ek sath jalati krodh ki choti si chingari krodh na karna re sansari krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re krodh na karna re sansari krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re iske bas me bhai bhai ko dushman ban lalkare baap ke muh par beta bole patni ko pati mare krodhi ka ghar narak ki jwala krodhi ka ghar narak ki jwala jalte nar aur nari re jalte nar aur nari krodh na karna re sansari krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re krodh me aakar lade padosi desh ka ho batwara apne pal me bane paraye bikhre kunba sara phul phul kata ban jaye phul phul kata ban jaye ujad jaye phulwari re ujad jaye phulwari krodh na karna re sansari krodh kiya to bhul ki bhari bhul ki bhari re krodh na karna re sansari