SONG: Koyee Gesu Koyee Aachal Hame Aawaj Na De - कोई गेसूं कोई आँचल हमें आवाज ना दे

Koyee Gesu Koyee Aachal Hame Aawaj Na De - कोई गेसूं कोई आँचल हमें आवाज ना दे

LYRICS:
koyi gesu koyi aachal hame aawaj na de ab kisi aankh ka kajal hame aawaj na de ham hai khamosh to khamosh hi rehne do hame koyi aahat koyi halchal hame aawaj na de hamne tanhayi ko mehbub bana rakha hai raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai phir pukara hai mohabat ne hame kya kijye di sada husn ki jannat ne hame kya kijye jis ke saye se bhi aksar hame dar lagta tha chhu liya aakhir usi hasrat ne hume kya kijye hamne jajbat se daman ko bacha rakha hai raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai raas aaye na kabhi pyar ke halaat hame dil ke is khel me har bar huyi mat hame kya karenge kaha jayenge kidhar jayenge de gayi jab bhi daga agar ye mulakat hame bas isi soch ne deevana bana rakha hai raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai raakh ki dher ne sholo ko daba rakha hai