SONG: Koi Meri Sune, Aurat Na Bane - कोई मेरी सुने औरत ना बने

Koi Meri Sune, Aurat Na Bane - कोई मेरी सुने औरत ना बने

LYRICS:
koi meri sune aurat na bane ye to mardo ka hai sansar koi meri sune aurat na bane ye to mardo ka hai sansar bhayi bahan ki suno kahani bhayi ki kismat tej bhayi bahan ki suno kahani bhayi ki kismat tej bhayi ko has ke dulhniya bahan se mange dhaje hay main mar gayi ram hay main mar gayi ram duniya ke bajar main bikta ek naari ka pyar koi meri sune aurat na bane ye to mardo ka hai sansar koi meri sune aurat na bane ye to mardo ka hai sansar bibi ghar main bhakti aur sewa ki jyot jlaye bibi ghar main bhakti aur sewa ki jyot jlaye babu ser kre duniya ki gair se nain ladaye hay main mar gayi hay main mar gayi kabhi din hai yaha kabhi hai waha hay mardo ka jutha pyar koi meri sune aurat na bane ye to mardo ka hai sansar ma bechari sab ke aanshu apne aankh mein laye ma bechari sab ke aanshu apne aankh mein laye ye marji olad ki chaye ya thukaraye hay main mar gayi ram hay main mar gayi ram mati main giri hai wo kliya duniya ka hai jo shringar koi meri sune aurat na bane ye to mardo ka hai sansar