SONG: Kitni Sach Hai Ye Baat Re - कितनी सच है ये बात रे

Kitni Sach Hai Ye Baat Re - कितनी सच है ये बात रे

LYRICS:
kitni sach hai ye baat re koi mane ya na mane kiski kismat me kya likha duniya me koi na jane bekar hai apne man ke mahal sb sapne suhane kiski kismat me kya likha duniya me koi na jane jo salamat uthar gaye paar jo salamat uthar gaye paar unki kismat me thi koi khubi varna aise to hai yaha lakho jinki kisti kinare dubi bhagwan ka hai jo vidhan bhagwan ka hai jo vidhan use inshan kya pehchane kiski kismat me kya likha duniya me koi na jane is jag mein hain kitne panchhi yaha unme bhi kitha bhed re koi udta aajad gagan me koi pijre me hain kaid re ye hai anubhav ke bol inhe kya samjhenge diwane kiski kismat me kya likha duniya me koi na jane koi chahe yha ya na chahe jo mukddar me likha hain milta bina malik ke marji yha pe ek patta bhi na hilta mitti ke putlo suno jara karte ho kyu bahane kiski kismat me kya likha duniya me koi na jane