SONG: Kisi Ke Thukra Kar Armaan - किसी के ठुकरा कर अरमान

Kisi Ke Thukra Kar Armaan - किसी के ठुकरा कर अरमान

LYRICS:
kisi ke thukraakar armaan na jaao bedardi nadaan ye mausam roz nahin aata ye mausam roz nahin aata arre anjaan nahin aasaan bahaaron ke aise samaan ye mausam roz nahin aata ye mausam roz nahin aata shamaa tak aakar parwaane kahaan jaata hai deewaane shamaa tak aakar parwaane kahaan jaata hai deewaane yoonhi kyun hota hai hairaan nazaakat mauke ki pahchaan ye mausam roz nahin aata ye mausam roz nahin aata kisi ke thukraa kar armaan na jaao bedardi nadaan ye mausam roz nahin aata ye mausam roz nahin aata sadaa ik baat nahin hoti haseen har raat nahin hoti sadaa ik baat nahin hoti haseen har raat nahin hoti bharosa kya ghataaon ka sadaa barsaat nahin hoti sadaa barsaat nahin hoti ye rut hai do din ki mehmaan na hogi kal koyal ki taan ye mausam roz nahin aata ye mausam roz nahin aata kisi ke thukraa kar armaan na jaao bedardi nadaan ye mausam roz nahin aata ye mausam roz nahin aata