SONG: Khuli Jo Aankh - खुली जो आँख

Khuli Jo Aankh - खुली जो आँख

LYRICS:
khuli jo aankh to wo tha na wo jamana tha dahakati aag thi tanhai thi fasana tha gamo ne baant liya hai mujhe tu aapas mein ki jaise main koi luta hua khajana tha juda hai shakh se gul-rut se aashiyane se kali ka jurm ghadi bhar ka muskurana tha ye kya ki chand ho kadamo mein thak ke baith gaye tumhe to sath mera door tak nibhana tha mujhe jo mere lahu mein dabo ke gujara hai wo koi gair nahi yaar ek purana tha khud apne hath se shahjad usko kaat diya ki jis darkht ki tahani pe aashiyana tha