SONG: Khoya Khoya Chaand - खोया खोया चांद

Khoya Khoya Chaand - खोया खोया चांद

LYRICS:
khoya khoya chand khula aasman aankho mein saari raat jayegi tumko bhi kaise nind aayegi ho khoya khoya chand khula aasman masti bhari hawa jo chali khil khil gayi ye dil ki kali man ki gali mein hai khalbali ki unko to bulaao o ho khoya khoya chand khula aasman taare chale najare chale sang sang mere wo saare chale chaaro taraf ishaare chale kisi ke tto ho jaao o ho khoya khoya chand khula aasman aisi hi raat bhigi si raat hatho mein hath hote wo sath kah lete unse dil ki ye baat ab to na sataao o ho khoya khoya chand khula aasman ham mit chale jiske liye bin kuch kahe wo chup chup rahe koi jara ye unse kahe na aise aajmaao o ho khoya khoya chand khula aasman