SONG: Khamosh Hai Khewanhar Mera - खामोश हैं खेवनहार मेरा

Khamosh Hai Khewanhar Mera - खामोश हैं खेवनहार मेरा

LYRICS:
khamosh hai khewanhar mera naiya meri dubi jati hai khamosh hai khewanhar mera khamosh hai khewanhar mera naiya meri dubi jati hai naiya meri dubi jati hai jinda hun magar ab jine ki umid bhi tuti jaati hai khamosh hai khewanhar mera sahil ki tamanna thi mujhko majhadhar me beda ja pahucha jine ki duaaein kyan mangu pani to gale tak aa pahucha dil dhundh raha hai duniya ko duniya hai ke chhuti jati hai naiya meri dubi jati hai khamosh hai khewanhar mera gham apna juban tak la naa sakun sansar ko munh dikhla naa sakun ghutta hai jo dam rukte hai kadam badhte hai kadam rukte hai kadam ghutta hai jo dam rukte hai kadam manjil ki taraf bhi ja naa sakun bhatka hua raahi jaan ke ab takdir bhi ruthi jati hai naiya meri dubi jati hai khamosh hai khewanhar mera charno me tere hai laaj meri sun aaj jara fariyad meri tu dur nahi, majbur nahi nagari hai magar barbad meri kya yuhi garibo ki duniya sansar me luti jati hai jinda hun magar ab jine ki umid bhi tuti jaati hai khamosh hai khewanhar mera