SONG: Kaun Ayega Yahan - कौन आएगा यहाँ

Kaun Ayega Yahan - कौन आएगा यहाँ

LYRICS:
kaun aayega yaha koi na aaya hoga mera darwaja hawao ne hilaya hoga dil-e-nadan na dhadak ae dil-e-nadan na dhadak koi khat le ke padosi ke ghar aaya hoga is gulista ki yahi reet hai ae shakh-e-gul tune jis phul ko pala wo paraya hoga dil ki kismat hi mein likha tha andhera shayad warna masjid ka diya kis ne bujhata hoga gul se lipti hui titli ho gira kar dekho aadhiyo tum ne darkhto ko giraya hoga khelne ke liye bachche nikal aaye hoge chand ab us ki gali mein utar aaya hoga kaif pardes mein mat yaad karo apna makan ab ke barish ne use tod giraya hoga