SONG: Kaun Apna Kaun Paraya - कौन अपना कौन पराया

Kaun Apna Kaun Paraya - कौन अपना कौन पराया

LYRICS:
kaun apna kaun paraya kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya duniya kaa yeh bhed abhi tak koyi samajh nahi paya kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya jivan ki naiya me sabhi hain raahi ik manjil ke inhi me man ke mit milenge, inhi me dushman dil ke kisi ke dil me bhari hai nafarat, kisi me pyar ki maya kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya bichhade log bhi mil jate hain kabhi-kabhi jivan me khushi ki lehare bhi uthati hain kisi ke dukhiya man me kabhi kisi ne khoya jag me, kabhi kisi ne paya kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya koi murakh ban ke begana apano ko thukaraye koi kisi ki khushi ke karan raste se hat jaye koi kinara chhod ke dhundhe tufano kaa saya kaun apna kaun paraya, kaun apna kaun paraya